13-11-2016

Rang laganay walay Saiyan
Mujko bi rang laga gaye

Bess badaltay ho khud jese
Mujse bi badalwa gaye

Rabb kabi Murshad kabi
Kabi Ustad bankr aa gaye

Gumaya Azmaya Preshan kia
Dimag mera chakra gaye

Talib e ilm hun ya Mureed hun
Hun bi ya nahi main hun
Lutf tumne uthaya magar
Duvidha me mujko daal gaye

Haar manwa kar phir mujse
Baat patay ki samjha gaye

Idhr bi tum aor Udhr bi tum
Murshad Mureed Ustad Talib
Garchay muwahid bi khud tum
Shishe me surat dikhwa gaye

Rang laganay walay Saiyan
Mujko bi rang laga gaye

Bess badlatay ho khud jese
Mujse bi badalwa gaye..


Comments

Rang laganay walay Saiyan
Mujko bi rang laga gaye

wahhhhh

Popular Posts