18-09-2020


 

Sochta hun ise mukammal kar dun
raat roz adhuri reh jaati hai

Siyahi lekr teri kaali ghani zulfon se
aasmaan ko bhar dun
chand sitaron ki roshni mujhe satati hai

Kyun sehar ke intzar me jaga karen roz
is raat ko main la yazaal kar dun
aor dekhun.. qayamat kab aati hai..


                                                         muwahid


Comments

Popular Posts