30-05-2021

 

raat din me badalati hai
din raaton me badalatay hain
neend thikanay badalati hai
hum karwatay badalatay hain

ghumsum aakhon me
naqsh teri yaadon ke
aese badalatay hain
jese sunsaan raston pe
sooni shaamay badalati hain

kismat badalati hai jab
unkay andaz badalatay hain
aor andaz unkay muwahid
mausamon se badalatay hain

zameen o aasman dikhatay hain
hamesha door kahin miltay hue
pas pahunchanay par har bar
wo milnay ki jagah badalatay hain


Comments

Popular Posts