27-09-21


 adalat e ishq me muqadma haar aya hu
qazi se larh aya hu vakalat chor aya hu

waqt bi khoob khelta hai muwahid humse
wohi ab dil ka doctor hai
main usi ke pas dil ka mareez ban aya hu

uski muhabbat toh badi uljan bhari thi
uski bewafai se main kuch kuch
usay samajh paya hu

na dia kre janamdin ki badhai koi mujhe
us se bicharh ke main jiya hi kab hu
har din toh martaa aya hu

Comments

Popular Posts