13-10-2021
aor mere hath me ab jo hath hai
ye tera hath bi ho sakta tha
zindagi agar alag morh na leti toh
safar humara sath bi ho sakta tha
jane kyu apna qissa bi wohi purana
naqamyab muhabbat sa hua
hum naye zamane ke log the varna
humara qissa naya bi ho sakta tha
aor ye na bhoolne ki adat
parhayi ke lehaz se achi thi
muhabbat me shayad
bhool jana acha ho sakta tha
raat raat bhar jaagna ghor o fikr karna
tu aalim aor ashiq dono eksath na hota
toh 'muwahid' tera bhala ho sakta tha

Comments