03-01-2021


jeene ki itni toh azadi ho yaaro..
jo jahan chahe usay wahan basaya jaye

main marta bi toh usi pe tha..
ab usi ki gali me mujhko dafnaya jaye

ankh ke badle ankh andha kar gyi
insaniyat ko..
khuda ka vaasta hai,
koi nya nizam ab chalaya jaye..

muhabbat ka diya jalaya jaye,
nafraton ko bhulaya jaye..

nayi pirhi khud samajhdar hai,
ye buzurgon ko samjhaya jaye,

sar e aam prem karne ko gunnah kehte ho
sar e aam ye qatal e aam bi na failaya jaye..

(muwahid)

Comments

Popular Posts