17-02-2021


hue hain mareez e dil hum
aor wo poochte hain haal
kya kahiye..

is gham e hijr ka
bas sharab hai ilaaj
kya kahiye..

jo chorh gya tha wo aakr
haq jataaye toh usay
kya kahiye..

sakht ho chuki mitti bi qabr ki 
ab aayi hai unko yaad 
kya kahiye..

~muwahid~

Comments

Popular Posts