07-10-2020
nuskha e tabib dikha kar bi chutti na mili
hayye re daftar e ishq e mulaazmat tauba
dil hai mohtaaj aor badghuman mehboob
uspe phir yaad e oo hi dil ka ilaaj tauba
sab zulm o sitam, jour o jafa sab qabool
zamana ek taraf, ek taraf unke naaz tauba
kab? ... kese? ... achaa!! ... oh ho!! ...
hayye unke sawaal, unke jawaab tauba.
(muwahid)

Comments