06-07-2021
aapki nazar ke banaye deewano ne
aap hi ki zulf ko kalam bana kar
aapki ik ik ada pe shaer kahe hain
aapke honton ke tabasum se
dam kashi pa kar
keyin musaviron ne
canvas pe rang bhare hain
aor sun kar misri zuban aapki
gulukaar sab gulukaar bane hain
baaz muwahid jese jo kuch
na ban'ne ke qabil the
aapke mureed ban kar
aapke dar pe khare hain

Comments