14-07-2021

 

aap jaisa sulook karenge
dusra bi waisa pesh ayega
dil toh sahab aiinay sa
bartaav karta hai

khuda ka khauf na sahi
aah e niim shabi ka
toh kuch khayal karo
sada dilon se khel kar
kya mila karta hai

shayar ki ye baat bda
dil dukhati hai muwahid
kisi ke sath ho kar
kisi aor ko yaad karta hai

jo karta hai jaan nisar hum pe
dil usay bi tasleem karta hai
bhulayen kaise us qatil ko magr
dil khud hi jispe marta hai


Comments

Popular Posts