28-12-2020


dekho ek aor saal badal gya hai
hum ab bi shaadi ka joda lie khare hain

tumhara dawa tha ek hi saal me bhula denge
hum ab bi kunware apni baat pe arhe hain

mere badh kitne aye, tumhare badh kitni ayin
choro ab in baaton pe kya jagadna

tumne agar bewafayi ki bi thi kabhi
toh hum konsa doodh ke dhule parhe hain

ao burhapa aane se pehle sula kar lein
bachpan se jawani tak hum bahot larhe hain

(muwahid)



Comments

Popular Posts