30-12-2020
dono takte rahe yaktarfa
tiktiki lgaye tamam raat
tiktiki lgaye tamam raat
main apne chand ko, chakor apne
chand ko, tamam raat..
pee kuch bi nahi aor madhosh rahe
tamam raat
kat gayi yunhi mehkadhe me tamam raat
saaqi wo rooh e jaan tha yan
dushman e jaan ab kya kahiye
hisab barhata hi gya hamara tamam raat
hosh aya toh paya, wohi sawera tha
wese hosh nahi, tha kahan tamam raat..
(muwahid)

Comments