20-03-2021

 

tujhse bichad ke main kaisa hu..?

bina rooh ke zinda kaise hu..?

khudse meri mulakat kyu nahi hoti..?

mujhe maloom toh ho main kaisa hu..

ye khala kaisi hai mere andar..?

tun nahi hai ya main hi nahi mere andar..?

kya khoya hai, mujhe khabr kyu nahi..?

ehsas itna gehra aor pata kuch bi nahi..

milta bi hu aoron se, kaam kaj bi karta hu

zinda hone ki sari rasme puri karta hu

ye kya hai phir ki main main nahi hu

esa kyu lagta hai main mar gaya hu..

~ muwahid ~


Comments

Popular Posts