05-04-2021


bahot baatein bana rahi ho aaj

chor ke jane ka irada hai kya

mera dil ka tukda, meri jaan, mere jigar

acha ji, itna pyar jata rahi ho aaj

akhir irada hai kya

ishq ki unchayiyon pe le ja ke mujhe

gira ke maarne ka irada hai kya

mere lie bana ke laye ho tum kheer

itne meherban pehle to na the kabhi

garz bi mujh fakir se kya hogi tumko

samajh ata nahi phir irada hai kya

bahot baatein bana rahi ho aaj

chor ke jane ka irada hai kya

muwahid


Comments

Popular Posts