06-04-2021
shatranj ki sab chaalein teri
kamyab ho rahi hain
kamyab ho rahi hain
tujhe bhulane ki sab koshishein
meri nakam ho rahi hain
kal ek dost ne tera naam le lia
yunhi baaton baaton me
abi tak dil jese sunn hai
saansein jaam ho rahi hain
milne ka waqt tum teh karo
jagah mukarar main karta hu
ab ye dooriyan munasib nahi
logon me baatein ho rahi hain
muwahid

Comments