06-04-2021
saat aasmaan aor zameen pe
teri meri kahani be misaal hai
dilkash hai tun noor se bhari pari
main jaan waarne aya parvana hu
tere agay chaand ki bisaat kya
mera ishq aftab se taiz hai
tun hai khushbuyon se bani hui
main tujhse lipat ke rahu sadha
main saans lu toh teri darhkano se
meri darhkane takraye jaan
tun kitaab hai aese ilm ki jise
muhabbat ke bina parha na jaye
mere pas aa tujhe main parhu
main ustaad hu dil ke shehar me
tere bare me aor kya likhun
gazal tere agay bhala cheez kya
tera kis se muqabala krun
tere jesa do jahan me koi nahi..
muwahid

Comments