14-04-2021
dil aor khayal yak tarfa karke
didar e yaar karte rahiye
roza, nafal, namaz, sajde,
choriye, ishq karte kariye
pandit mullaon ko larhne dijiye
aap apna kaam karte rahiye
kafir kafir kare koi toh kahiye
sawab milega karte rahiye
na baniye sufi na baba, na peer,
na unki baatein suna kariye,
na japiye naam, na kalma parhiye
na pooja paath, na chille, na vrat,
awwal ibadat ishq 'muwahid'
shara se na dariye, karte rahiye

Comments